WAFA
RUSWA NEHIN KARNA
MUJY
TANHA NEHIN KARNA
MERI
IN JHEEL C ANKHON KO
KABI
SEHRA NEHIN KARNA
JUDAI
B JO AA JAY
TO DIL
CHOTA NEHIN KARNA
MUQADAR
PHIR MUQADAR HE
KABI
DAWAA NEHIN KARNA
JO
LIKHA HE WOHI HOGA
KABI
SHIKWA NEHIN KARNA
BHAROSA B
ZAROORI HE
MAGAR
SAB KA NEHIN KARNA
MERI
TAKMEEL TUM SE HE
MUJY
ADHOORA NEHI KARNA
*IK AAJAZ SHAAM*
MANZALEN
B US KI THYN
RASTA B
US KA THA
SIRF
MAIN AKELA THA
QAFILA B
US KA THA
SATH SATH
CHALNE KI
SOCH B
USI KI THI
PHIR
RASTA BADALE KA
FESLA B
US KA THA
MUJY
CHOOR CHOOR KRNE KI
KOSHISH B
US KI THI
HALAN K
MERI ZAAT SE
FAAIDA B
US KA THA
AAJ
JB AKELA HOON
TO
DIL SAWAL KARTA HE
LOG TO
USI K THY
KYA KHUDA B
US KA THA.......,,,?
SHAAM MISS U MERI JAN.,!?
@"Boht hi YAAD
aatey hO"¤
Zara milnay chaley aao
Muje kuch tum se kehna hai
Ziyada waqt nahi loun ga
Zara si baat karni hai
Naa dukh apney sunaney hain
Naa koi faryad karni hai
Naa ye maloom karna hai
K
Ab halaat kaisey hain.?
Tumharey humsafar they jo Tumharey sath kaisey hain.?
Na ye maloom karna hai
Tairey din raat kaisey hain.?
Mujhey bas itna kehna hai
Muje tum YAAD aatay ho
"Boht hi yaad aatey ho.
Meri Zindgi K Chiraagh Ka Ye Andaz Koi Neya Nehi
Kabhi Roshni ` Kabhi Tergie ` Na Jala Hova Na Bhuja Hova,
Muje Aap Kiun Na Samjh Saky Ye Apny Dil Se Poochhiye
Meri Dastan-E-Hayaat Ka He ` Har Waraq Waraq Khula Hova,
…
Muje Hamsafar B Mila Koi ” To Meri Tarah Hi Luta Hova
Kabhi Manzilon Se Hata Hova Kabhi Qafilon Se Luta Hova,
Muje Ek Gali Mein Parha Hova Kisi Badnaseeb Ka Khat Mila
Kehin Khoon-E-Dil Se Likha Hova ` Kehin Aansuon Se Mita Hova
JATE HOVE HATH B
MILA KR NEHIN GYA
WO KUN GYA HE
YE B
BATA KR NEHIN GYA
U LAG RAHA HE JESE
WO
ABI LOT AAY GA
JALTE HOVE
CHARAAGH B
BHUJA KR NEHIN GYA.
HUM TUM BIN ADHURE Hain
Tumhain Ik Bat Kehni Hai,
‘Magar Naraz Mat Hona,
‘K Tum Jo Har Ghari Mujhko,
‘Itna Yaad Atay Ho,
‘Hamain Itna Satate Ho,
...‘K Hum Tum Door Hain Dono,
‘Bohat Majbur Hain Dono,
‘Na Itna Yaad Ao Tum,
‘Na Youn Itna Satao Tum,
‘K Itna Yaad Aa Kar Yun,
‘Hamain Pagal Bana K Tum,
‘Faqat Itna Bata Do K,
‘Hamari JAAN Lo Gay Kya?
‘Magar Ye Bhi Haqeeqat Hai,
‘Tumhari YAAD Hi To Hai,
‘Jo Har Pal Sath Rehti Hai,
‘Khushi Main Bhi, Ghamon Main Bhi,
‘Udasi K Palon Main Bhi,
‘Tumhari YAAD Hi To Hai,
‘Jo Har Pal Ye Batati Hai,
‘Mujhe Ehsas Dilati Hai,
K
“HUM TUM BIN ADHURE Hain”
WO AIK SHAKHS HOVA THA JO KABI MEHMAN ANKHON MEN
PHIR US K BAD UTRA NA KOY INSAN AANKHON MEN
INHI RASTON SE AKSAR WO ATA JATA THA MERE DIL MEN
AB REH GYE HEN US K PAIRON K NISHAN AANKHON MEN
WO JISY NAZAR BHAR K DEKHTA BARBAD KR K RAKH DETA
WO LIA PHIRTA HALAKAT KHAIZ KYI TOFAN AANKHON MEN
DIL KI BASTI UJRHI TO WO AANKHON MEN CHALA AYA
BANA LIA HE ABI US NE AIK MAKKAAN AANKHON MEN
MERI ANKHON KI ROSHNI WO MEHRU HI K DAM SE THI
AB AIK UJRHI JANNAT HE SHAAM KI VEERAN AANKHON MEN
MY PERSONEL POETRY.
ankheen tera rasta dekheen
khud royen tujhee hansta dekhen
bikhry bikhry khawab liyee
rat jagee azab liyee
andhiyaroon ki oat se
jb b chand nikalta dekhen
ANKHEEN TERA RASTA DEKHEN
thatharti kali ratoon men
bheegi bheegi ankhoon men
door boht hi door kahen
ik diya sa jalta dekhen
ANKHEN TERA RASTA DEKHEN
basant ki gehma gehmi men
jazbat ki garma garmi men
zard zard se aanchal men
jb koi chehra lipta dekhen
ANKHEM TERA RASTA DEKHEN
KHUD ROYEN TUJHY HANSTA DEKHEN
ANKHEN TERA RASTA DEKHEN
dil jalata he to jalane de
aansu na baha fariyaad na kar
dil jalata hai to jalane de
tu parada nasheen ka aashiq hai
yoon naam-e-wafa barabaad na kar
dil jalata he to jalane de
maasoom nazar ke teer chala
bismil ko bismil aur bana
ab sharm-o-haya k parade mein
yoon chhup chhup k bedaad na kar
dil jalata he to jalane de
ham aas lagaaye baithe hen
tum wada kar k bhool gaye
ye soorat aa k dikha jaaow
ya keh do ham ko yaad na kar
dil jalata he, to jalne de aansu na baha
faryad na kar.
?”Bachpan K Dukh B Kitne Ache The,
Tab To Sirf Khilone Toota Karte The,
Wo Khushiyan B Na Jane Kesi Khushiyan Thi,
Titli K pr noch Ke Uchhla Karte The,
Paoon Maar K Khud Barish Ke Pani Mae,
Apna Aap Bhigoya Karte The,
Ab To Ek Aansu B Rusva Kar Jata He,
Bachpan Mein Dil Khol Ke Roya Karte The”
A BEUTIFULL POEM OF MY PERSONEL POETRY 4 MY LOVE.
APNY BEETY HOVE SAAL K IS TARAH AYYAAM LIKHON GA
JANURY FEBRURY MEN SUKH MILY JO WO SARE TERE NAM LIKHON GA
MARCH B JB PHOOL KHILLY THY DIL KO KITNY ZAKHAM MILY THY
APRAIL NE KESE UJHARHA SB KUCH MOHBATON KA ANJAM LIKHON GA
MOSAM K SATH SATH MAY MEN TUMHARA LEHJA BADAL GYA THA
TUM NE JUNE JULY MEN JO ROOP BADLA US PE TAZA KALAM LIKHON GA
AGUST SEPTEMBER KI BARSATEN JB MUJE UDAS KARTI TO
OCTOBER NOVEMBER MEN SOCHTA THA TUMHEN DIL KA SALAM LIKHON GA
DECEMBER KI BARF RUTTON MEN AHED KIA THA YE PEGHAM LIKHON GA
AB K BARAS *TUM MERE HO* DEEWARON PE SAR-A-AAM LIKHON GA
MISS U MY LOVE VERY MUCH.
BHEEGI JANUARY LOT AEE HE
Wohi galiyan wohi koochay
Wohi sardi ka mausam he
isi andaz say apna nizam-e-zeest
Barham he
Yeh haseen ittifiaq he k
Bikhri chandni b he
Wohi har simt veerani,
Udasi, tashnagi c he
Wohi he bheer sochon ki
Musafir ajnabi aur
Dasht ki pinhaiyan phir say
Wohi tanhaiyan phir say
Mujhay sab yaad he
Kuch saal pehlay ka yeh qisa he
Wohi lamha tu veeranay ka
Ik abaad hissa tha
Kisi nay rat ki tanhai mein
Sargoshiyan ki thii
Kisi ki narz guftari nay dil ko
Loriyan di thii
Kisi nay meri tanhai ka sara
Karb banta tha
Kisi nay raat ki chunri mein roshan chand
Taanka tha
Wo jis k honay say zindagi
Naghma sarai he
Usse kehna k bheegi JANUARY lot
i he
MEHRU Bheegi JANUARY phir laut i he
Shaam ki kali ankhen jab palkon ko japkati hen
Kisi pairh k neechy kuch yaden gungunati hen
Kuch pyar k aadhay naghmy
Aadhi pyar ki kahaani
ik shehar ka raja
R ik gaown ki rani
Dono bary premi thy
Ban men aaya karty thy
Un k pyar k meethy naghmy
Panchi gaaya karty thy
Ab na premi hen
Na woh baaten hen
Aur yaden hi apni kamai he..
In kitabon men jee nahin lagta
Hum ko sajni ki yad i he....
Is kamry ki khirki barish ka shor sunati he
r tumhari aahat hm ko ye rog lagati he
Ab k saal december men jab ban men mein jaown ga
Neeli jheel darakhton k saayay r sookhay pattay
Sary tera poochen gen
Kahan he tera poochen gen
Tera premi yar kahan he
Sary tera poochen gen
Kia bataown ga
Kia kahani he
Ab to qismat men apni judai he
In kitabon men jee nahin lagta
Hmko MEHRU ki yad i he
Shaam dhallay jb panchi
Apnay apnay ghar jaty hen
Koi mujy batlay
Mujko ye kun tarpaty hen
Men ne b ik sapna dekha tha apny ghar ka
Kho na jay mera panchi
Lekin muj ko darr tha
mera ye afsana he
mera panchi rasta bhoola mera ye afsana he
us ne dil ko mere torha pagal anjana he
bheega bheega sa ye december he
bheegi bheegi c tanhai he
in kitabon men jee nehin lagta
hamko sajni ki yad i he.
*GOOD MORNING*
*2013*
NYE SAAL KI PEHLI SUBAH AAP KO MUBARAK HO
NEW MORNING OF A NEW YEAR
MOST WELCOME 2013
NYE SAAL KI PEHLI DOWA
MERE MAALIK
US K AJ
AUR US K KAL KO
US K JEEWN K
HR IK PAL KO
TU APNI REHMAT SE BHAR DE
AUR
SHAAM KI KALI ANKHON KO
MEHRU KI CHAHAT K
DIA KI
ROSHNI SE
MUNAWAR KR DE
NYE SAAL K PEHLY LAMHY
TERI MINNAT KARTA HOON
AB K SAAL KUCH AESA KR DE
JIS TAK MERI POHNCH NEHIN HE
DOOR UFFAQ PE BASNY WALY
US CHANDA KO MERA KR DE
IS AAJAZ SHAAM KI SEHR KR DE
MERE MAALIK
AB K SAAL
TO KUCH AESA KR DE
MUJKO MERI MEHRU DE KR
PYAR MERE KO AMMR KR DE
MY PERSONEL POETRY.
ہم نےسوچا تھاجب وہ مل جائیں گے
ان کےملنے سےہم پھربدل جائیں گے
ہم جورہتے تھےتنہااداس سارا دن
ان کی قربت میںہم پھربہل جائیں گے
وہ دیںگے سہاراہمیں آگےبڑھ کے
گر جوراہ میںکبھی ہم پھسل جائیں گے
ہم جوبکھرےتھے ٹوٹ کر زندگی میں
ان کےملنے سےہم پھرسنبھل جائیں گے
وہ بھی چھوڑ دےگا کیاخبر تھی
اتنی جلدی میرےارماں جل جائیں گے
سنودسمبر
اسےپکارو
سنودسمبر
اسےملادو
اسےبلادو
اب اس سے پہلےکہ سال گذرےاب اس سے پہلے کہ
جان نکلے
وہی ستارہ میری لکیروںمیںقیدکردواس آخری شب کےآخری پل کوئی بڑااختتام کر دویہ زندگی ہی تمام کردو
سنودسمبر
سنودسمبر
اسےبلادو
اسےملادو
: Saj Sakti Hai Mehfil-E-December, Abi Kuch Lamhy Baqi Hain,
Agr Chaho, Agr Samjho, Meri Mano, To Loat Aao
miss u friend
LAST GOOD MORNING OF 2012.